Ingredients:
Step 1: Preparing Bhallays (Dumplings):
• Mash daal ½ cup (soaked overnight)
• Mong daal ¼ cup (soaked overnight)
• Adrak 1tsp chopped
• Kali mirch crushed ½ tsp
• Hari mirch 1-2 ya hasb e zaiqa
• Namak ½ tsp or ya hasb e zaiqa
• Pani hasb e zaroorat
• Kuti lal mirch ½ tsp
• Oil for deep fry
• Pani 2-3 cup
• Namak ½ tsp
Step 2: Preparing Yogurt (Dahi):
• Malmal ka kapra
• Dahi ½ kg
• Doodh 1/3 cup
• Corn Flour 1 ½ tbs
• Namak ½ tsp or to taste
• Kala namak ½ tsp
Step 3 Assembling:
• Bhallay hasb e zaroorat
• Cholay (boiled) hasb e zaroorat
• Dahi hasb e zaroorat
• Imli ki chutney 2-3 tsp
• Hari chutney 2-3 tsp
• Tamatar chopped 1 small
• Chaat masala hasb e zaiqa
• Red chili flakes hasb e zaiqa
• Chuqander julienne hasb e zaroorat
• Hari mirch chopped hasb e zaiqa
• Hara dhania hasb e zaroorat
• Pyaz sliced hasb e zarooart
• Anar hasb e zarooart
Directions:
Step 1:
Maash daal aur mong daal ko 4 ghantay ya raat bhar kliya garam pani mein bhego dein,grind kernay sa pehlay daalon ko chaan lein. Blender/grinder/chopper mein daalein,namak,hari mirchein,lehsan, kali mirch aur thora pani dal ker paste bana lein.(kum sa kum pani istamal karein)
Jab paste tayyar ho jaye tou paste ko haaton ki madad sa pheent lein is ki wajha sa baking soda istamal kernay ki zaroorat nahi parayge. Fry pan mein tel dal ker garam ker lein aur chamchay ki madad sa bhallay bana ker halki aanch per deep fry ker lein.
Ek Bowl mein pani,namak aur kuti lal mirch dal ker mix ker lein.
Deep fried bhallay namak aur kuti lal mirch walay pani mein bhego dein 20-30 minute kliya.
Pani mein bhegay hoye ballay haath ki mada sa press ker lein aur side per rakh dein.
Step 2:
Large pot mein malmal ka kapra rakh k upper sa dahi dal dein. Ab dahi ko malmal k kapray mein ache tarhan bada ker dahi nikal lein. Is mein doodh,corn flour,namak aur kala namak dal ker ache tarhan mix karein aur side per rakh dein.
Step 3 Assembling:
Serving plate mein bhallays aur cholay (boiled),dahi,imli ki chutney,hari chutney,tamatar (chopped),chart masala,kuti lal mirch,chuqandar(julienne),hari mirch,dhania,pyaz aur anar dal ker serve karein.